Welcome To HALZUTRIK

apna khud ka song kaise banaye/ song ko ishtrah se gaye..

 apna khud ka song kaise banaye/ song ko ishtrah se gaye har log apke fan hojaynge...





namaskar...

HALZUTRIK mein aapka swagat hai. vynforniya ke tech & tricks/other informations mein aaj ham aapko ik aishi jaankari denge jo aapke liye helpfull hogi and ik aishi trick ke baare mein bataynge jisshe aap ik professional song gaa paynge,our aapko singer banane mein madad karegi.


har inshan ke andar koi na koi kla to jarur hoti hai,our har kishi ke mann mein ye ichha hoti hai ki hum docter banjaye ya actor ban jaye ya singer ban jaye. sabki apni-apni khwaish hoti hai jise paane ke liye vah din-rat hard work karte rehte hai.


yadi aapko gaana achha lagta hai to aap ish post/lekh ko poora padhiye....


agar aap chhote user hai ya aap vhahte hai ki kam lagat mein aap ik achha sa song khud gaa sako our ushe apne tarike se adit bhi kar sako to ish jaankari ko dhyanpurwak padhiye...



ik achhi baat ye bhi hai ki aapko song apne android phone mein hi edit kar sakoge to chaliye shuru karte hai ...


●Gaana kaise gaaye..
aapne dekha hoga ki ik professional song gaane ke liye bahut chijo ki jarurat hoti hai jaise;- mice,hall,music etc. jo bajat mein bahut jyada ho jayga, lekin hamm aapko kam bajat mein song ko creat karna btarahe hai toh pehli problem toye hai ki gaana konsa gaaye? = aap koi bhi gaana gao lekin gaana aisa hona chahiye jiska music kishi song se match karta ho kahne ka matlab hai ki aapke gaane ke bol kishi bhi song ke base par ho.



ab baat aati hai music ki, kinyoki gaana gane ke liye music team bhi chahiye lekin hamne aapko shuruaat mein kaha tha ki ham kam lagat mein our android phone ke madhyam se saara kaam karenge to sabse pehle aap jish song ko gayenge ushe achhi trah yaad kar lena hai our yadi aap khud banakar gaana chahte hai to ush gaane ko bhi yaad kar le kiske base par aapke song ke bol hai.


ab aap jish bhi song ko gayenge ya jish song ke base par gayenge ush song ka naam google search box ya vidmate ya kishi bhi video downloader app ke search box mein likh dena hai maan lejiye aapka song ye hai ya ish song ke base par hai = ''pyar hamara amar rahega yaad karega janhan'' to aapko search box mein gaane ka name likhna hai our gaane ke name ke pichhe ''karaoke'' likh kar search karna hai, aapko aapke gaane ka karaoke music mil jayega ishe aap video mein save ya download kar lejiye.



Ab aapko ik app ki jarurat padegi jiska name hai ''kinemaster'' ish app ko niche download ke button par click karke download kar sakte hai.






kinemaster app ko install karne ke baad ishe open kare our ush video ko selact kejiye jo aapne download ki thi matlab karaoke ko chuniye.





ab ishki line par click karke iski voice ko badha dena hai. niche image ko dekhe....



ab aapko gaana gaane ke liye teyar ho jana hai... ab apne phone mein microphone ya hadphone lagaye, agar aapke paas phone se connect hone wala mice hai to jyada behtar rahega. dhyan rahe aapke aas-paas shor nhi hona chahiye ya aap kisi room mei darwaja band karke bhi gaa sakte ho.



Ab kinemaster mein recording ke icon par click karna hai, ab karaoke/background music chalne lagega our aap point lines ko dhyan mein rakhte hue singing karna hai.



song ko pura gaa lene ke badh kinemaster se edit kar lena hai our apni voice ko full kar lena hai.



ab video ko save kar lena hai. video save karne ke baad ushi song par apni ik achhi si acting ke sath video shoot karna hai our fir se kinemaster me jakar apni video ko edit karke export(save) kar lena hai.


ab apka song video song mein bankar ready hai ab ishe ''YOUTUBE'' par upload kar de kuchh hi time mein aapke song par kafi matra mein views aajayenge, our log aapko janne lagenge ish trah aap famus ho jaynge.


hamey poorn vishvas hai ki aap ish article mein de gyi jaankari ko achhe se samnjh gye honge. agar aapka koi saval hai ya koi preshani aarhi hai to hamey comments mein bataiye ham aapko javab dene mein tat par rahenge. yadi aap chahte hai ki hamari website ki new articles sabse pahle aapke paash aaye to hamey E-mail ke dwara follow kare ya membership le. article helpful laga ho to ishe apne friends ko share kejiye jishhe unhe bhi iss jaankari se unhe bhi help mil sake.


                              THANK YOU 


RAJAN

My name is RAJAN and this website is created by me. All articles posted on it are published by us. Our aim is to give correct information to the visitors according to their search through articles and take them to the post. facebook youtube instagram facebook pinterest

1 Comments

Previous Post Next Post

Follow on Google News