Welcome To HALZUTRIK

Phone se pendrive ko bootable kaise banaye

Phone se pendrive ko bootable kaise banaye


Computer ya PC mein Windows XP other Koi Windows install karne ke liye ya to computer ya laptop mein CD drive Hona chahie, ya bootable pendrive ko bootable banane ke liye ek aur dusra laptop via PC Hona chahie. Lekin Kuchh user yah Logon ke pass Itna budget Nahin Hota ki with do(2) computer La sake, ya fir ho sakta hai ki Unka kam ek hi computer se chal jata hai. To ish condition mein Ek samasya Aati Hai ki ab pendrive ko bootable Kaise banaen. without other extra PC or laptop.

Pendrive ko bootable banane ke liye dusre computer ki bhi jarurat padati hai lekin Ham aapko Ek Aisi trick ke bare mein bataenge jisse aap apne Android phone Se Hi pandrive ko Windows ke liye bootable banaa Payenge. doston smartphone ya Android phone aajkal Har Kisi Ke Pass Hota Hai. isiliye Humne Socha Ki Ek Aisi trick ke bare mein aapko bataya Jaaye jisse Android phone ka use Karke ham Apne pendrive ko bootable banaa Payenge Windows install karne ke liye.
doston Ham Apne har article mein Koi Bhi faltu ke word Nahin dalte aur na hi koi fake news ya jankari aapko date. Ham sou pratishat Shuddh aur satik jankari visitor ko pradan Karate Hain jisse unhen Jankari pedh kar madad mil sake.

To iske liye aapke pass Android phone hone ke sath sath aapke pass ek OTG honi chahie aur Ek pendrive, Jise bootable banana hai. to ish trick ko Kuchh steps Mein Rakha gaya hai. To kripya niche Di Gai steps ko Dhyan purvak padhiye.

1. Phone se pendrive ko bootable banane ke liye sabse pahle aapko RAR Naam Ke ek application ko download karke Install kar lena hai. RAR application ko download karne le liye niche click karen.


2. Ab aapko pendrive ko OTG ke sath connect karke phone mein lagana hai. Lagne ke bad aapko pendrive ko format kar dena hai jisse pen drive Puri Tarah Kali ho jaaye.

3. Ab aapko ush RAR application ko open karna hai aur download ki Hui ISO file Ko dhundhna Hai aur select kar lena hai. Dhoondne ke liye aapko Upar 3 line per click karna hai. Aur device storage per click karna hai. Aur vahan Ko dhundhna Hai.




4. Ab aapko do option dekhenge ek plus ka aur ek Teer wala option. Aapko Teer wale option per click karna hai.

5. Ab aapko destination path select karna hai aur Apna pen drive select karna hai. Aapko Apne pendrive ka naam Pata Hona chahie, yadi aapko Apne pendrive ka naam Nahin Pata to pahle iska naam check kar le, ya fir pen drive ka Icon dikhega ushe per click Karen.





6. Ab aapko keep broken file per click Karke Ok kar dena hai.


7. Ab file extract hona start ho jaega. file extract hone mein Kuchh time lag sakta hai, tab tak Phone ko off na Karen aur Nahin Koi other apps start karen.


8. Process complete hone ke bad close per click kar de. Ab aapka pendrive bootable Ban chuka hai. ab isase Apne computer yah laptop mein Windows Install kar sakte hain.


Hamen ummeed hai ki yaha article aapke liye helpful and useful hua hoga. agar aapka koi sawal hai to comment mein hamme bataye. Our agar aap chahte hai ki halzutrik ki new update sabse pahle aapko mile toh side mein diye Bell🔔 icon par click karke notifications allow kar de.
RAJAN

My name is RAJAN and this website is created by me. All articles posted on it are published by us. Our aim is to give correct information to the visitors according to their search through articles and take them to the post. facebook youtube instagram facebook pinterest

1 Comments

Previous Post Next Post

Follow on Google News