How to use hair removal cream
Hair removal cream ka use kaise kare ishko lekar mahilaye bahut chintit rahti hai. Aaj ke time mein har koi chahta hai ki har kaam bina hard work kiye hona chahye. Ab anchahe baalo (unwanted hairs) ko hatane ki bahut si cream market mein uplabdh hai. Aaj ke time mein saving se jyada hair removal cream ka upyog jyada sahi mata jata hai, kinyoki saving karte time cuts ka bahut jyada dar rahta hai. Our samya bhi jyada lagta hai, lekin hair removal cream se keval 3 se 5 minutes mein hi unwanted hair remove ho jate hai, Isse time bhi bach jata hai our cuts hone dar bhi nhi hota. Magar hair removal cream ko use karte time kuchh baato ka dhyan rakhna chahiye our ishe use karne ke bhi kuchh tips hai, jisse ki hair removal cream koi side-effect na karen.
Hair removal cream ko use karte time kya-kya savdhaniya baratni chahiye our hair removal cream ka use Kaise karen ishke baare mein aage bataya gya hai. Jinhe janne ke baad aap hair removal cream use karne par kisi prakar ke side-effects se bach sakte hai.toh di gyi jaankari ko dhyan se padhiye.
How to use hair removal cream
Jaisa ki hamm jaante hai ki hair removal cream ka use unwanted hairs ko remove karne ke liye kiya jata hai. Unwanted hairs hamari body par hoto ke upper side mein, chhati par, hatho ke niche and private parts par ugte ya hote hai. Inko remove karne ke liye hamm hair removal cream ka use karna batayge. Hair removal cream market mein bahut naamo se mil jaygi, aap apni pasand se koi si bhi le sakte hai.
Ab jaante hai hair removal cream ka use. Hair removal cream ko use karne ke tips and savdhaniyon ko niche kuchh steps mein rakkha gya hai. Toh sabhi steps ko dhyan se padhiye.
Hair removal cream ka use Kaise karen
Step1. Sabse pahle aapko ush ariya ko achhe se wash kar lena hai, jahan ke hair remove karne hai.
Step2. Har hair removal cream ke sath ek spatula dia hota hai. toh ab hair removal cream ko spatula ki madad se unwanted hairs par apply kare.
Step3. Yaad rakkhe ki hair removal cream ko spatula ki madad se keval apply kar ke chhod de ushe ragde mat.
Step4. Ab ishe 2 se 3 minutes tak aise hi rahne de. (Dhyan rakhna ki inh creams ko jyada-se-jyada 5 minutes tak hi lagaye rakhna hai, agar aap 5 se jyada minutes tak ishe lagaye rakhte hai toh aapke ush aria par bahut jyada chish hone lagegi our ush parts ki skin bhi kat si jayegi).
Step5. 2 se 3 minutes ke baad aapko apne ush parts par ek shuti kapde ke tukde ko gila karke saari cream ko pochh lena hai.
Step6. Ab saaf paani se ush aria ko dho lena hai janha par cream lagayi thi.
Step7. Ab thoda coconut oil ya vitamin ke capsule ko ush aria par gglaga lena hai.
Ish tarah se hair removal cream ka use karne se aapke sarir se unwanted hair remove ho jayge, our aapko koi side-effects bhi nhi hoga.
ish trick se maine apne hair ko bahut kam kiya hai
ReplyDeleteक्या मैं इसे लगाने के बाद कोल्ड क्रीम लगा सकती हूँ?
ReplyDeleteजी हाँ, आप कोल्ड क्रीम लगा सकतीं है।
Delete