Second hand laptop kharidte time kya check karen
Hello dosto! agar aap bhi koi purana ya second hand Laptop kharidne wale hain. ya second hand laptop kharidne ki soch rahe hai, to aap ke a man mein yah sawal jarur hoga ki purane laptop ko khareedte time usmein kya-kya check karen jisse ki baad mein koi problem na ho. Toh aaj ke article mein ham aapko yahi bataenge ki second hand laptop lene se pahle kin baaton ka dhyan rakhe, aur kya-kya check Karen.
Aaj ka time aisa hai jismein log sabhi work digital tariko se karte hain aur in digital tariko se work karne mein sabse jyada madad laptop karte hain. yani ki computer karte hain. Chahe fir vah koi bade yantra ko chalane ka kam ho ya koi Chhoti dukaan ho sab jagah computer ya laptop ka use hota hai. example ke taur per bataye to jaise agar aapki koi phone repairing ki shop hai to aapko ek laptop bhi apni dukaan mein rakhna padega. Kyunki kabhi-kabhi phone ko repair karne mein laptop computer ki jarurat bhi pad Jaati hai. Jaise software dalte time. aur agar aap student ho to bhi jarurat padegi aur normal bandhuon ko bhi laptop chalane ki ichcha hoti hai. vah bhi chahte hain ki hamare pass bhi ek laptop ho. Dosto har jagah har tarah ke insan hain koi Ameer hai to koi garib hai koi normal hai. Toh kuchh log naya computer ya laptop nahin khareed paate. Kyunki unke pass itna budget nahin hota. Lekin unke man mein laptop chalane ki ichcha hoti hai. isliye vah koi second hand laptop tlaash karte hain. aur use khareed lete hain. lekin purana ya second hand laptop khareed time aapko kuchh baaton Ka dhyan bhi rakhna chahie Jo niche humne aapko bataya hai.
Toh purana ya second hand laptop kharidne se pahle kuchh baaton ka dhyan rakhna chahie, aur ye baat kaun-kaun si hai iske bare mein ham aage baat karenge. purana laptop khareedte waqt yah kharidne se pahle kya karna chahie, kin baaton ka dhyan rakhna chahie, aur kya kya laptop mein check karna chahie ine sabhi ke bare mein ham aapko Kuchh tips bata rahe hai. jinko padhakar aap purane laptop ko kharidne ke bad kisi bhi problem ka samna na kar paye aur aapko Koi nuksan na ho.
▪ Laptop ka weight
Jaise ki hamme pata hai ki laptop bhi ek computer hi hai. prarambh mein ishe ye soch kar banaya gya tha ki ish ko kahi bhi le ja sake. vastav mein laptop ko log isliye hi kharidte hai ki ishe kahi bhi le sake. our ye jagah bhi kam gherta hai. toh hamm aapko shujhav denge ki jab bhi koi second hand laptop buy karen to ye jarur dekh le ki laptop ka weight hamesha kam hi ho. kinyoki jyada weight wale laptop ko collage ya office our kahi or bhi le jane mein pareshani hogi. jyada weight ka laptop aapke hatho mein dard kar sakta hai. ya aapko jyada bhaari feel ho. toh purana laptop buy karte time ish baat par jarur dhyan dena chahiye ki laptop ka weight kam ya normal ho. To purane laptop ko bi Karte time Jin Baton Ka Dhyan Rakhna chahie unhen niche bataya gaya hai Hai To kripya Dhyan purvak padi hai.
▪ Laptop ki thickness
laptop buy karte time ye bhi dekh lena jaruri hota ki ushki thickness jyada to nhi hai. vaise laptop ki thickness kam honi chahiye. isshe laptop stylish lagta hai our aapke bag mein bhi ashani se aa jata hai.
▪ Laptop ki screen
Jab bhi aap koi purana ya second hand laptop buy karen toh ushki screen( display) jarur check karen. kinyoki akshar log apne laptop ki screen kharab ho jane ki vajah se bhi bechte hai. purana laptop buy karne se pahle laptop ko on karke dekh le ki laptop ki screen mein koi line to nhi aa rahi hai. jyadater laptop ki screen mein ya to lining aati hai ya gir jane par kale nishan ban jate hai. our screen kabhi-kabhi blinking karne ke sath-sath white bhi jo jati hai.
▪ Laptop ka model
Purana laptop Lene Se Pahle aapko yah Jarur dekh lena chahie ki laptop ka model kya hai. Kyunki Aksar log apna purana laptop hi bechte hai, aur ham Yahan per baat purane laptop ko kharidne ki hi kar rahe hain. to aapko yah Jarur dekh lena hai ki kahin laptop ka model Jyada purana To Nahin Hai. Kyunki Jyada purana model ka laptop acche se work nahin kar payega aur usmein jyadatar kuchh features unlock Hote Hain jaise yadi laptop ka model Jyada Purana Hai to usmein aap professional Windows install nahin kar paoge. aur Jyada purane model ki process bhi kam hoti hai, isliye aap usmein acche se Sabhi software ko run nahi kar Payenge, to aap Jab Bhi purane laptop buy karen to uska model new ya thoda middle hona chahie. kabhi bhi Jyada old model ka laptop na kharide.
▪ Laptop ki keyboard
Dosto Laptop ka dusra main part keybord hota hai. jish trah laptop ki screen ke bina laptop ko nhi chalaya ja sakta. ushi trah bina keyboard ke laptop nhi chalaya ja sakta hai. Toh Jab bhi aap purana laptop khariden to uski keyboard ko check Karke Jarur Dekhen ki Sabhi button Apna proper work kar rahe hain. yadi purane laptop ki keyboard ke button work nahin karte to ishe dalwane ke liye bahut paise kharch Honge. isiliye aap purana laptop lete Samay Sabhi button ko click kar kar Dekhe Kahin keyboard kharab To Nahin Hai aur tabhi purana laptop buy Karen.
▪ Sabhi ports working condition mein ho
Purana laptop kharidne se pahle Jab aap laptop ko check kar rahe Hote Hain to aap laptop Mein maujud Sabhi ports ko achhe se check Karen ki ki Kahin port kharab To Nahin Hai Doston port laptop mein main side mein Lage Hote Hain Jo Jack ke Saman dikhte Hain inmein aap external device ko connect kar sakte hain yah usbport sote Hain inmein aap aap external device Jaise a printer extra keyboard mouse vah other device ko laptop se connect kar sakte hain Agar yah port Si kharab Honge to aap apne purane laptop mein in device ko connect nahin kar paoge isliye Jab Bhi aap laptop khariden to yah Jarur dekh le key laptop ke sabhi port working condition Mein ho,Tabhi laptop kharide.
▪ Speaker ko check karen
Jab aap Koi second hand laptop kharidne se pahle laptop ko check kar rahe hote hain to speaker ko bhi check karke dekh lena chahie ki laptop ka sound achcha hai ya nahin. aur laptop ka speaker acche se wark kar raha hai ya nahin. Agar laptop ka speaker acche Sevak Ne Karen to laptop ko bi na Karen.
▪ Battery backup
Jab bhi purana laptop khariden to uski battery ko to jarur check kar lena chahie. aur yah dekh lena chahie ki laptop ka battery backup kaisa hai. agar laptop ka battery backup achcha hai to hi buy Karen. normally second hand laptop ki battery ka backup keval aadhe ghante ka hota hai. full use per aur isse upar bhi chal sakti hai. Toh jab bhi aap laptop ko le to battery ka backup net per chalane per kam se kam aadha Ghanta ka jarur ho.
▪ Laptop ka first buyer
Second hand ya purana laptop kharidte samay yah jarur dekhna chahie ki laptop ka ka first buyer(khariddar) kaun hai. yani ki jisne laptop ko new kharida tha. uska pata hona jarur chahie, aur aap uske first buyer ko acchi tarike se jante ho, yah ush per vishwas ho. Kyunki ho sakta hai ki laptop chori ka ho ya koi aapko chori ka laptop bech raha ho. Chori ke laptop ko kharidna mein bahut nuksan Hota Hai, Kyunki Chori Ke laptop mein jyadatar kuchh cases ho jate hain. jaise Agar Kisi ne laptop mein apni detail feel ki ho to vah apne computer ko police dwara Khoj sakta hai. jisse Chor Pakda ja sakta hai, aur yadi aap chori ka computer khareed lete hain to kya pata Shayad aap bhi ish problem Mein fash Jaaye. toh ham sujhav denge ki aap jab bhi koi purana computer kharide to uske first buyer ka pata hona chahie. aur vah janne wala hi hona chahie jisse aap kisi bhi problem main na uljhen.