Welcome To HALZUTRIK

phone ka back home button kharab hone par Kya karen

phone ka back home button kharab hone par Kya karen




Sabhi android ya smartphones mein aapne dekha hoga ki niche ki side back, home and recent button diye hote hai, in buttons ko navigation button bhi kahte hai. kai baar kya hota hai ki hamare smartphone ke ye navigation buttons kaam karna bandh kar dete hai. matlab ki work nhi karte. ye problem tab aati hai jab aapka phone ya to aapke hatho se gir jata hai. ya fir paani mein gir jata hai. ye problem unn phones mein jyada aati hai jinme in buttons ka connection phone ke motherbord se hota hai. kuch smartphones mein in buttons ka connection keval phone ki touchscreen se hi hota hai. vaise phone mein ye problem phone ki touchscreen se hi hoti hai. jab phone ki touch tut jati hai ya chatak jati hai to ye problem ho sakti hai. phone mein jyadatar ye case hota hai ki phone ki touchscreen to proper work kar rahi hoti hai lekin back, home our recent buttons work nahi kar pate. aishi condition mein smartphone ka use karna muskil ho jata hai. ish problem mein jab phone mein kuch chalate hai toh ushko back karne ki bhi jarurat padegi.lekin aapke phone ke buttons kaam nahi kar rahe hai. toh phone ko thik se chhala hi nahi paenge. 

ish problem ko thik karne ke liye agar aap repair karwane jaenge toh repairing wale aapko new touchscreen dalwane ko kahenge. phone ki touchscreen ko repair karte time jyadatar phone ki display kharab ho jati hai. jiske falsvroop fir aapko apne phone mein pura folder hi dalwana padega. ab baat aati hai ki ish problem ko thik Kaise karen. toh ish article mein aage ham aapki ish problem ko fix karne ki jankari denge. jisse agar aapke smartphone ke back, home and recent buttons kaam na kare to hamare dwara di gai jaankari se aap apne phone ka proper use kar Payenge, toh article ko dhyan se padhiye.


phone ka back home button kharab hone par Kya karen

▪Phone ke a back, home our recent button kharab ho jaane per phone ko use kar pana mushkil hota Hai, lekin ise use kiya ja sakta hai proper tarike se. iske liye aapko ek application ki madad leni hogi jo aapke phone mein custom button add karega, jin se aap back kar Payenge, home button ko press kar payenge aur recent button ka bhi use kar payenge. toh iske liye sabse pahle aapko softkey naam ka ek App download karna hoga. vaise PlayStore per bhi search karne par bahut app aapko mil Jaenge. lekin jis app ke bare mein ham aapko bataenge vah bahut hi achcha app hai hai, kyunki yah na to kabhi unsupport batata hai. aur na hi kisi prakar ka add show karta hai. yah app sabhi android phone mein work karta hai. ish app ko download karne ke liye apne browser mein Apkfeel likh kar search karna hai our ish website ko open karke kone mein search icon par click karke soft key likh kar search karna hai. Our app ko download kar lena hai.


▪Ab aap ko is application yah app ko download karne ke bad Install kar lena hai apne phone mein. install Karke jab aap ish app ko open karenge to yah aap aapko phone ki setting mein le jaega aur soft button ko on karne ke liye kahega. toh aapko on kar dena hai.

▪Bash itna karne ke bad yah app aapke phone mein back, home aur recent button ko laga dega. ab jab bhi aap in buttons par click karenge ya Apna Kam proper tarike se karenge.

▪Ish app mein ye buttons default tarike se diye gaye hain. agar aap apne hisab se customise karke size ko chhota ya Bada ya fir button ko upar ya niche, side mein ya centre per kahin bhi fit karna chahte hain to ish app ko fir se open karke customise karen. aap in buttons ka colour change kar sakte hain. aur aap dekhoge ki ab aapke ye button apna kam kar rahe hain.

image for helping guide



bash doston yahi thi vah settings aur tricks jis ki madad se aap apne smart phone ke button Kaam na karne ki problem ko theek kar Payenge. aur aapne bhi kar paya hoga ish artical ko padhakar. Aisi hi aur bhi tricks janne ke liye ish website ke home page per jaaiye aur sabhi useful articles ko padhiye aur new jaankari techical se related jaankari aur apni samasyaon ko theek kariye.


Hamen ummeed hai ki yaha article aapke liye helpful and useful hua hoga. agar aapka koi sawal hai to comment mein hamme bataye. Our agar aap chahte hai ki halzutrik ki new update sabse pahle aapko mile toh side mein diye Bell🔔 icon par click karke notifications allow kar de.
RAJAN

My name is RAJAN and this website is created by me. All articles posted on it are published by us. Our aim is to give correct information to the visitors according to their search through articles and take them to the post. facebook youtube instagram facebook pinterest

Post a Comment

Previous Post Next Post

Follow on Google News