Welcome To HALZUTRIK

Redmi note3 phone ko hard reset Kaise kare

How to hard reset Redmi note3

Halzutrik


Kai baar dekha jata hai ki aksar hamare phone mein jyada storage full ho jane par ya phone mein virus bhar jane par phone ruk-ruk kar chalne lagta hai. ishka dushra karan harmful apps and spam sites bhi ho sakti hai. kai baar to phone itna hang ho jata hai ki phone ki touch bhi galat jagah click ho jati hai. aishi stage mein ya aishi condition mein phone ko hard reset karna padta hai. Hard reset karne par phone bilkul new jaisa defult ho jata hai, our phone achhe se work karne lagta hai.
phone ko Hard reset karne par phone se sabhi data clear ho jata hai. matlab phone ki factory clean ho jati hai. jaise ki photos, videos, file, documents etc. agar aap phone second hand ya purana kharidte hai toh bhi aapko phone hard reset karne ki jarurat padti hai. isshe pichhle user ka sabhi data phone se delete ho jayga. agar aap pichhle data ko save karke hard reset karna chahte hai toh pahle kisi Sd card ya pandrive mein save kar le fir hard reset kare.

Redmi note3 Hard reset
Redmi note3 phone ko hard reset karne ke liye bass kuch steps ko follow karna hai, toh sabhi steps ko dhyan se padhiye.

Redmi note3 phone ko hard reset Kaise kare

Step1. Sabse pahle apne redmi note 3 phone ko power off kar le.

Step2. Ab volume up(+) and power button ko  saath kuch second tak dabakar rakhna hai.



Step3. jab mi logo phone mei dikhe toh power button chhod dena hai our volume up(+) ko dabaye rakhna hai.

Step4. ab aapke phone mein factory recovery ka function open hoga. aap volume button se up-down karke wipe data wale option par la kar power button daba dena hai(power button ok ka kaam karta hai).
1.
2.

3.

4.




Step5. kuch hi second mein phone ki factory reset ho jaygi. our fir se vahi function show honge. ab reboot par click kar de(power button ki help se), bass kuch hi der baad aapka phone Hard reset ho jayga. ab aapka phone bilkul new phone jaisa work karega.

5.
6.



Hamen ummeed hai ki yaha article aapke liye helpful and useful hua hoga. agar aapka koi sawal hai to comment mein hamme bataye. Our agar aap chahte hai ki halzutrik ki new update sabse pahle aapko mile toh side mein diye Bell🔔 icon par click karke notifications allow kar de.
RAJAN

My name is RAJAN and this website is created by me. All articles posted on it are published by us. Our aim is to give correct information to the visitors according to their search through articles and take them to the post. facebook youtube instagram facebook pinterest

Post a Comment

Previous Post Next Post

Follow on Google News