Welcome To HALZUTRIK

MX takatak se apni video delete kaise karen




Hello doston! agar aap bhi MX takatak app ka use karte ho, aur aap ish app per new user hai. toh aapane apni videos ko ish app per post karna start kar diya hoga.
Kai bar kya hota hai ki ham takatak app per kuch videos aise dal dete hain jo bad mein hamen acchi nahin lagti ya fir kisi other season ki vajah se aap apni kisi video ko MX takatak apps se delete Karne ki koshish karte hain. lekin delete nahin kar paate. ya fir ho sakta hai ki aap ko delete karne ka na pata ho. Agar aapko yah nahin pata ki MX TakaTak se apni videos ko delete kaise karte hain. toh chinta na kare kyunki ham aapko ishi ke bare mein jankari denge aur aap unh videos ko delete kar payenge jinhen aap hatana chahte hain.

videos hatani Kyon padati Hai
Yah question bhi bahut important hai aur Aksar har kisi user ke man mein aata hai ki video hatani kyon padati hai. Toh doston yah to videos ko dalne wale ko hi pata hai ki vah kyon videos ko delete yah hatana chahta hai. lekin aapko iske kuchh reasons bata rahe hai. ki aksar kin vajah se video ko delete karna padta hai.

▪ galti se post Ho Jaane per
Kai bar kya hota hai ki hamare phone ki storage mein duplicate videos yah image hote hain. ab jab ham MX takatak app par apni videos apne phone ki storage se upload kar rahe hote hain to jo videos ham upload karna chahte hain vah Nahin hokar uski duplicate videos uske jaisi dusri videos upload ho jaati hai. aur tab ham upload karte hain aur bad mein jab uska views karke dekhte hain. to paate hain ki yah video vah nahin hai jo ham upload karna chahte the. Toh yah pahle samasya thi jise fir humko is videos ko hatana padta hai.

▪ Videos ki report hone par
In social apps, inh shot video application per agar ham kuchh galat videos dal dete hain to iski report ho jaati hai, ya fir in APPS per report hone ka yah dusra Karan ye bhi hai ki ham jab bhi kisi dusre user ki videos ko upload Karte hai, toh videos ka original owner iski report kar deta hai. Kyunki kuchh users aise hote hain jo yah nahin chahte ki hamari videos ko aur koi bhi upload Karen. Kyunki isase unki ranking per bahut asar padta hai. toh agar ve apni videos ki copy kisi dusre user ki profile per dekhte hain to vah turant ushki  ya ush videos ki copyright report kar dete hain ki yah video hamari thi. to fir yah aapke liye ek issue ban jata hai jisse aapko fix karna hota hai. iske liye aapko is videos ko delete karna padta hai.

▪ galat content hone per
Dekhiye doston! ye jo short videos maker app hote hain ya kahe ki social apps jin per aap apni short videos ko upload karke ya post kar kar logon ko apna style ya hunar dikhakar famous hote hain. agar inh per aap jyad like, followers aur comment ke liye agar kuchh galat content dal dete hain to aapki turant hi report ho jaati hai. ya aapko aapki videos ko block kar diya jata hai. Kyunki inke bhi kuchh niyam hote hai, kuchh guidelines hoti hai, kuchh term conditions hoti hai. jinko har users ko follow karna padta hai. aur agar aapki videos main kuchh galat content hai to yah inke guideline Ke viruddh hoga. jismein aapko yah ek report ke tour per dikhaya jaega aur aapki videos ko delete karne ke liye kaha jayega. doston agar aap ine social apps per kuchh jyada hi galat content upload kar dete hain to aapki videos ke sath sath aapke account ko bhi block kar diya jata hai. fir aapko dusra account banana padta hai. aur agar keval aapki videos ko block kar diya gaya hai to aapko ushi videos ko delete karna hi padega. to fir bhi yahi samasya aati hai ki aapko videos delete kaise karni hai aur delete karna hi padati hai.

Toh doston yah to thi kuchh jankari ya ve region jin ki vajah se hamen videos ko delete karna padta hai. ya delete karne ki jarurat padati hai. toh ab aage janenge ki aakhir MX takatak App se apni videos ko delete kaise karen.


MX takatak se apni video delete kaise karen

• MX takatak App se apni videos delete karne ke liye sabse pahle aapko MX takatak app ko open karke login ho jana hai.

• Aap profile section per jaaiye aur apni profile ko open kijiye aur niche scroll karke aapko wai sabhi videos dikhai degi jo aapane post ya upload ki hogi.

• Ab aap jis videos ko hatana chahte hain ya delete karna chahte hain use videos ko click kar kar play kijiye.

• Ab videos mein like comment share Ke niche 3 dots ka nishan hoga. three dots per click kijiye.




• 3 dots per click karte hi aapke samne share message dute aadi ke option honge to ismein se aapko delete ka option dekhna hai kahan per hai aur delete per click kar dena hai.




• Jaise hi aap delete per click larenge to aapse pop-up windows mein yah poochha jaega ki aap ise karne mein ise delete karne mein sahmat hai. sure hai to aapko is per, I am sure per click kar dena hai, yes per click kar dena hai. yes par click karte hi aapki videos permanently delete ho jayegi.




• Toh ish tarah se aap MX takatak apps se apni videos ko hata sakte hain ya delete kar sakte hain. jin videos ko aap hatana chahte hai ya aapko acchi nahin lag rahi, kisi bhi reason ki vajah se aap MX takatak apps se apni unh videos ko delete kar payenge jo aap karna chahte hain. wo bhi ish tarike ke madhyam se.

Toh doston yahi thi vah jankari Jo aapane article mein padh li hai. aur hamen vishwas hai ki aapane sahi tarah padhi hogi aur aap bilkul shuddh, satik, saralta se samajh chuke honge ki MX takatak App se videos ko delete kaise karen. aur yah jankari aapko helpful bhi lagi hogi. bush yahi tha hamara maqsad ki aap ish article se ye samajh paye ki MX takatak apps se permanently videos ko delete kaise karte hain.



Hamen ummeed hai ki yaha article aapke liye helpful and useful hua hoga. agar aapka koi sawal hai to comment mein hamme bataye.
RAJAN

My name is RAJAN and this website is created by me. All articles posted on it are published by us. Our aim is to give correct information to the visitors according to their search through articles and take them to the post. facebook youtube instagram facebook pinterest

Post a Comment

Previous Post Next Post

Follow on Google News