Jio phone mein YouTube video download kaise karen.
Agar aapke paas bhi jio ka phone hai jo keypad mein aata hai. our aap ushme youtube videos download karne ki koshis kar rahe hai lekin download nahin kar paa rahe hai to nirash na ho kyunki ham aapko ek aisi trick bata rahe hai jisse aap apne jio phone mein youtube videos ko download kar Payenge.
Dosto jio phone india mein kaafi teji se use kiya ja raha hai. kyunki ye phone bahut sasta hai our ishme 4G jio sim support hone ke sath-sath kai android features bhi diye gaye hai jaise:- WhatsApp, Facebook, jiotv, jio cinema, notes, YouTube,jio video call, Assistant,browser, jio sawan, games etc. Sabse achhi baat to ishme yah hai ki aap ish phone mein YouTube videos ko bina ruke dekhne ka poora aanand le sakte. ish phone mein bahut saare apps diye gye hai jinhe aap jio store se install kar sakte hai, jabki yah phone ek keypad phone hai. lekin ish phone mein itne features hone bavjood ishme aisa koi app nahi diya gya hai jisse ham YouTube videos ko ish jio phone ki storage mein save ya download kar saken. Android phones mein to ham vidmate jaise kisi bhi app se youtube videos ko download kar lete hai, lekin ish jio phone mein aisa koi features uplabdh nahi hai. Lekin aapko nirash hone ki chinta nahi hai kyunki ham aapko ek aishi trick batayege jishse aap apne jio phone mein sabhi YouTube videos ko download kar sakoge.
Jio phone mein YouTube videos ko download karne ke liye kuchh steps ko follow karen jo niche batai gayi uai.
1. Sabse pahle aapko apne jio phone ka net on karke browser open kar lena hai.
2. Ab aapko browser ke search box mein "y2mate" likh kar search kar lena hai.
3. Search karte hi y2mate ki jo site sabse pahle dikhegi ushpar click kar de.
4. Click karte hi y2mate website open ho jayegi, ab aapko ish website ke search box mein kishi bhi video ka name ya url dalkar search kar de.
5. Search karte hi sabhi YouTube videos show ho jayegi, ab jish videos ko aap download karna chahte hai ush par click karen ya video ke niche bane download ke button par click karen.
6. Ab ek new page open hoga jishme video ki kai quality show hogi, aap jish bhi quality mein download karna chahte hai ush par click kar de.
7. Ab fir se ek page open hoga jisme download ka button hai, aapko ish download ke button par click kar dena hai. Click karte hi video download hona start ho jayegi, our kuch hi der mein download complete hokar aapke jio phone ki internal storage mein save ho jayegi.
Toh ish tarike se ya ish trick se aap apne jiophone mein sabhi ya kishi bhi YouTube ko download kar sakte hai. Ye trick jio phone ke har unh model mein kaam karegi jinme browser ywni internet diya hua hai. ish trick se aap YouTube videos ke sath sath audio mp3 bhi download kar sakte hai. Ushka option aapko video download karte time mil jayega.
Very helpful hai our important bhi
ReplyDelete