Welcome To HALZUTRIK

IMEI numbers kya hai, IMEI number ka pata Kaise lagaen

 IMEI number kya hai, kaise pata Karen


IMEI number kya hai aur iska pata kaise lagaen. toh aaj ki ish article mein ham aapko ishi ke bare mein bataenge ki IMEI number kya hota hai. aur iska pata kaise karen toh article ko aap pura padhte rahe, aapko yahi jankari ish article mein di jayegi. Doston aapane aksar dekha hoga ki jab aap kisi new phone ko khareed lete hain to aapko ek box mein phone milta hai. toh aapane yah aksar dekha hoga ki phone ke box per IMEI number likhe hote hai, ya fir aap inh Numbers ko vahan bhi dekh sakte hai jahan aapke phone per Chit lagi hoti hai. IMEI number bahut hi Khaas number hote hai jo internet ya Wi-Fi se chalne wale har upkaran mein diye jaate hain. pahle time mein Technology kam hone ke karan yah Suvidha kuchh device mein uplabdh thi, lekin ab internet ya Wi-Fi se chalne wale har device ka IMEI number hota hai jisse device ko pata lagane mein madad milati hai.



IMEI Number kya hai

Jab aapka phone kahin kho jata hai ya gum ho jata hai toh police station jakar ham apne phone ki Shikayat karte hai to ush samay IMEI number ki jarurat padati hai. Jiske jariye aapke phone ka pata lagaya ja sakta hai ki phone kahan per hai. To aapko bata De ki IMEI number kitne important hote hain. Iski full form International Mobile Station Equipment Identity hoti hai. Ya aap ye keh sakte hain ki Internet se chalne wale ya Wi-Fi se connect hokar chalne wale vah sabhi upkaran jin ko pahchana ja sakta hai. jisko keval IMEI number ke through hi usko pehchana jata hai. Jaise har manushya ki ek pehchan hoti hai ki vah kaun hai aur kahan rahata hai. ushi tarah har phone ki bhi IMEI number se pahchan ki ja sakti hai ki device kaun sa hai aur filhal kahan per hai. Toh aapko yah bhi pata chal gaya ki imei number kya hote hain. yah ham pahle hi bata chuke hain ki iska upyog jab kiya ja sakta hai jab aapka phone kahin gum ho jata hai yah chori ho jata hai. to jab aap police station mein jakar iski Shikayat karte hain to ish Number ko batana padta hai jisse aapke phone ko khoja ja sake.


Har phone mein imei number 14 numbers ke hote hai. inhnumbers ko har device mein alag alag rakha jata hai. aap andaza laga sakte hain ki har din mein lakhon-karodo phone taiyar hote hain aur har phone ke imei number alag-alag hote hai. filhal vaise ye number 14 hi hai lekin agar jarurat padi to inki sankhya mein badhotri ho sakti hai.


IMEI number ka pata kaise karen

IMEI number ka pata aap apne phone mein aasani se kar sakte hain. Pata karne ka pahla tarika to yah hota hai ki aap aap apne mobile ya phone ke box per inh numbers ko dekh sakte hain. Jin phone mein battery removal hoti hai an phone se main aap aap battery ko lagane Ke Niche inh numbers ki ek chit chipki hui hoti hai jin per aap inhen dekh sakte hain.

Agar aapka phone ki battery non-removable hai yani ki aap apne phone se battery nahin nikal sakte to IMEI number ko dekhne ki ek USSD code hai jisko dial kar kar aap apne phone ke IMEI number ko dekh sakte hai. iske liye aapko apne phone mein jahan aap number dial karte hai vahan per is code*#06# ko dal kar ok karna hai aur aapke phone ke IMEI number show ho jaenge.




Toh  ish tarah se aap aap apne phone ki IMEI number ka pata kar sakte hai aur aap yah bhi jaan sakte hain ki akhir IMEI number kya hote hai.
RAJAN

My name is RAJAN and this website is created by me. All articles posted on it are published by us. Our aim is to give correct information to the visitors according to their search through articles and take them to the post. facebook youtube instagram facebook pinterest

2 Comments

Previous Post Next Post

Follow on Google News