Raksha bandhan par doston ko aise banakar bheje happy raksha bandhan image card
Raksha bandhan par doston ko aise banakar bheje happy raksha bandhan image card |
Doston Raksha Bandhan ka tyohar Hindu tyohar mein se ek hai, jo Bhai-Bahan ke pyar Bandhan ko majbut banane ke liye manaya jata hai, ish tyohar ko har Bahane(sisters) apne bhai ke hathon per Rakhi bandhti hai, aur yah Rakhi ek raksha kavach ke roop mein bandhi jaati hai, aisa logon ka Vishwas hai.
Doston is Rakshabandhan ke tyohar per jyadatar log phone ka use karte hai aur phone se hi apne doston per social media ke dwara message bhejte hain, ya image bhejte hain jinhe vah happy card kahate hai, uska use karke apne name aur dost ke name ko likhkar apne doston ke paas bhejte hai, jaise happy Raksha Bandhan. Toh ish tarah ke card aajkal social media per har koi apna phone use karke bhejta hai. isshe jo aapke apne ya aapke jaanne wale kahin dur rahte hain to unko bhi aap phone ke madhyam se ish tarah ke card bhej sakte hain ya image bhej sakte hain. aur unhen ye batane mein jata sakte hain ki aap har tyohar per unhen Bhule nahin hai aur acche se Jante Hain.
Doston aaj ke ish article mein ham aapko bataenge ki aap apne phone se apna khud ka ek aisa images card create karke apne phone se apne doston ko bhej sakte hain. ya apne sambandhiyo ko bhej sakte hain. to aaj ham aapko bataenge ki kaise aap Happy Raksha Bandhan card ya image banaa sakte hai. apne phone per aur apne doston ke sath Facebook, WhatsApp, Instagram, aadi per share kar sakte hai. Artical main aapko step-by-step sabhi jankari di jayegi ki phone mein kish tarah se ishe banaya jaega aur kaise apne doston ke sath share kiya jaega. Toh chaliye ab jante hain ki kaise ish trick ko use kiya jata hai aur kish tarike se ye Happy Rakshabandhan card banaya jata hai.
Toh phone mein Happy Raksha Bandhan card banane ke liye ya Happy Raksha Bandhan ke liye image banane ke liye aapko sabse pahle apne phone mein ek application ki jarurat padegi, yani ki ek Android app ki jarurat padegi jiska Name hai Photo collage maker app.
Doston agar aap Photo collage maker app ko Play Store par search karne lagenge to ish name se bahut sare application show honge, toh aapko yah search karne ya find karne mein bahut dikkat hogi ki original app kaun sa hai. Toh iske liye aapko sabse pahle Google per "Apkfeel" likhkar search kar dena hai. ab Apkfeel website Google ke search result mein show hogi toh aapko ushme se Apkfeel ko dekhkar ushper click karke website ko open kar lena hai. aap niche image mein dekh sakte hai ki Google search result mein Apkfeel kaise dikhai degi.
Jab website khul jaaye to aapko iske search icon per click karke search box mein Photo collage maker app likhkar search kar dena hai. Search karte he Photo collage maker apps show ho Jaega, Toh aap ise download ke button per click karke ya is per click karke aap ise download kar sakte hain aur fir apne phone mein Install kar sakte hain.
Install ho jaane ke bad aapko ishe open karna hai. Ab aapko apne phone ka net on kar lena hai our poster wale section per click kar dena hai.
Jaise aap poster per click karenge to aapke samne bahut sari templates mein show hogi, ab aapko vo template select karni hai jish trah ka aap apna Happy Raksha Bandhan image card banana chahte hai. Normally yah sabhi templates aapko free mein di jaati hai. kuchh Pro Mod per hoti hai, lekin jo free hoti hai vah bush aap click karke download karke ya fir koi ads dikha kar aapse download karvaya jata hai. toh aap kisi ek per click karke jo aapko acchi lagti ho use le lena hai.
Ab aap ise apni Marji se edit kar sakte hain. Aap ismein image koi bhi Raksha Bandhan ka rakhi image net se download kar kar yahan per add kar sakte hain. ishmein jo Name diye hote hain aap unki jagah Happy Rakshabandhan likh sakte hain hai. aur bahut kuchh likh sakte hain ki wishes ya aap sabhi ko shubhkamnaen aisa bahut kuchh likh sakte hain aap apne hisab se.
Iske image ko apni pasand ke mutabik banane ke liye iska ratio ya size apne hisab se change kar sakte hai.
Sabhi kam complete kar lene ke bad aapko ise save per click Karke save kar lena hai. aur save karne ke bad aap kisi bhi social media apps, Jaise Facebook, WhatsApp, Instagram, Twitter aadi per bhej sakte hai jisse yah aapka khud ka create kiya hua image ya Card hai jo logon ko bilkul professional lagega aur vah aapse khush bhi honge.
To bush ish simple si trick se aap ek app download kar kar Raksha Bandhan tyohar ke liye ish tarah ka image card apne phone se khud hi banakar apne doston ke sath share kar sakte hain aur aapko kisi aur problem mein bhi padhne ki jarurat nahin hai. Toh is tarike se aaj hi abhi ish trick ko apna kar is tarah ke card banae aur doston ke sath share karen.