Welcome To HALZUTRIK

YouTube video mein running lines kaise lagaye.

YouTube video mein running lines kaise lagaye.
YouTube video mein running lines kaise lagaye.



Hello dosto aapne bahut baar ye dekha hoga ki jab ham kishi videos ko youtube par dekhte hai toh unme se kuchh videos mein chalti hue lines dikhayi deti hai. inh lines mein youtuber(jisne video our publish kiya hai) kuch jaankari ya baato ko likh kar running karata hai.

Agar aap bhi ek youtuber hai our aap bhi apni videos mein ish trah ki chalti hui lines lagana chahte hai toh ham aapko ishki poori jaankari denge, ki aap kaise apni videos mein inh lines ko add kar sakte hai vo bhi apne phone se. jyadatar new youtubers ko ye nahi pata hota ki YouTube par videos ko banakar publish karne se pahle ushe kaise edit karna hota hai. Kuch youtubers phone se apne YouTube channel ko handle karte hai our kuch log computer se. Lekin jyadatar youtubers phone se hi apna channel manage karte hai. Kyunki phone se aap kahi par bhi video shoot karke YouTube par dal sakte hai, lekin computer se ye kaam sambhav nahi hai. kyunki computer ko ham har jagah hatho se nahi le ja sakte. Toh log phone se hi videos ko shoot and edit karke YouTube par upload laete hai. Toh ishiliye ham jo ye trick aapko bata rahe hai isse aap apne phone se hi apni youtube videos mein running lines laga paenge.

Dosto agar aap ek Youtuber hai, our youtube par apni videos ko phone se hi upload karte hai. toh aapko apni videos ko edit karne ke liye kishi video editor app ki bhi jarurat jarur padti hogi. ishiliye aapko apni videos mein chalne wali lines lagane ke liye kinemaster app ki jarurat padegi. agar aapke phone mein kinemaster apk hai to thik hai, lekin agaap google par Apkfeel likh kar search karen our Apkfeel website se kinemaster app ko download karen, kyunki ish website par aapko kinemaster pro mod free download karne mil jayega jisse aapki video mein watermark nahi aayega.

▪ Ab kinemaster app ko open kar lena hai. our ush video ko select kar lena hai jismein aap running lines lagana chahte hai.

▪ Ab kinemaster mein text wale section par click karke wo likh dena hai jishe aap running karwana chahte hai.
YouTube video mein running lines kaise lagaye.



▪ Line ko likh dene ke baad ushe video mein vaha par laga dena hai jaha se aap line ko shuru karwana chahte hai.

▪ Ab text par click karke aapko side mein ek key ka nishan dikhai de raha hoga, ush par click kar dena hai. Click karne ke baad ush line ko seedhe lejakar end kar dena hai. (Sahi se samjhne ke liye image dekhe).
YouTube video mein running lines kaise lagaye.



▪ Ye karte hi aap apni video ko play karke dekhe toh video mein lagai gai lines chalne lagegi.
Toh ish trah aap apne phone se apne youtube channel ke liye video mein chalne wali ya running line laga sakte hai.

Dosto ish trah se aap apni videos ko our bhi bahter look de sakte hai, jisse video bahut hi professional dikhegi our youtube par jaldi rank karegi. ish trah ki lines mein aap kuch important message ya note karke koi bhi baat sabhi ko show kara sakte hai, jaise ki aap visitor ko apna channel subscribe karwane ko kah sakte hai. 


Hamen ummeed hai ki yaha article aapke liye helpful and useful hua hoga. agar aapka koi sawal hai to comment mein hamme bataye. Our agar aap chahte hai ki halzutrik ki new update sabse pahle aapko mile toh side mein diye Bell🔔 icon par click karke notifications allow kar de.
RAJAN

My name is RAJAN and this website is created by me. All articles posted on it are published by us. Our aim is to give correct information to the visitors according to their search through articles and take them to the post. facebook youtube instagram facebook pinterest

Post a Comment

Previous Post Next Post

Follow on Google News