Welcome To HALZUTRIK

Hide any file in Samsung j7max and others

Hide any file in Samsung j7max and others



Agar aap bhi apne Samsung j7max ya kisi others phones mein apni kisi files, photos ya viseos ko chhupakar rakhna chahate hai, vo bhi bina kishi apk ka use kiye toh aap bilkul sahi jagah par ho. kinyoki aaj ke ish lekh mein hamm aapko ek aishi trick batayege jisse aap kishi bhi file,video aadi ko sabb se chhupakar rakh paenge.




Dosto kuch cheeje hamare phone mein aishi hoti hai jinhe ham dusro ko dikhana nahi chahte, kyunki ye cheeje hamari private hoti hai. Jaise ki kuch important documents jinhe ham kisi ko dikhana nahi chahte hai. ushi trah kuchh photos ya videos bhi ho sakti hai jinhe ham apne phone mein sabb se chhupakar rakhna chahate hai.

Toh kishi bhi private photos ya files ko apne Samsung Galaxy j7max ya kisi other phone chupane ke liye ham jo trick aapko bata rahe hai, ushme aapko kisi apps ki jarurat nahi padegi. ham aapko bhia kisi app ko use kiye hi files ko phone mein chhupane ki trick bata rahe hai.

Step1. Sabse pahle aapko apne phone ke file manager ko open kar lena hai.

Step2. Ab aapko file manager mein ek new folder create karna hai.

Step3. Ab aapko ish create kiye hue folder mein unh files, photos ya videos ko copy ya move karke dal lena hai, jinhe aap chhupana chahte hai.

Step4. Files ko add karne ke baad, aapko ish foldar ka name change(rename) kar dena hai. Our jab aap folder ka rename kar rahe hote hai toh aapko ushke name mein sabse pahle poin(.) Likhna hai.


Note:- Dosto ish poori mein ye point(.) likhna hi important hai. toh aapko folder ka name change karte samay sabse pahle point jarur likhna hai. aap niche diye image ko dekhkar our behtar se samajh jaoge.

Step5. Ab aapko upper side mein bane three dots par click karna hai, our setting par click karna hai.

Step6. Ab aapko Show hidden files likha dhundna hai.

Step7. Ab agar show hidden files ki yah setting on hai to aapko ishe off kar dena hai.


Ish setting ko off karte hi aapka vah create and remane kiya hua folder aapke phone ki file manager se gayab ho jayga, our koi ushe dekh nahi payega. Ab jab bhi aapko ush foldar dekhna ho, toh ush setting ko on kar de, folder aapko dikh jayega. our fir se ush setting ko off kar dene par vo folder fir se chhup jayega.


Important: agar aap ish trick ko Samsung Galaxy j7max mein na karke kishi our devices mein kar rahe toh aapke phone ki setting mein kuch changes ho sakte hai. toh aapko bass apne phone ki file manager mein jakar three lines ya three dots par click karke show hidden files ko dhund kar ushe off kar dena hai.

Toh ish trah se aap apne Samsung Galaxy j7max ya kishi our phone mein apni files ko ish trick ki help se chhupa sakte hai. Agar aapko ish trick ya article se related koi bhi sawal hai to comment kar kar hamse share karen.



Hamen ummeed hai ki yaha article aapke liye helpful and useful hua hoga. agar aapka koi sawal hai to comment mein hamme bataye. Our agar aap chahte hai ki halzutrik ki new update sabse pahle aapko mile toh side mein diye Bell🔔 icon par click karke notifications allow kar de.
RAJAN

My name is RAJAN and this website is created by me. All articles posted on it are published by us. Our aim is to give correct information to the visitors according to their search through articles and take them to the post. facebook youtube instagram facebook pinterest

Post a Comment

Previous Post Next Post

Follow on Google News