How to put your photo on any MP3 songHow to put your photo on any MP3 song
Hello doston aaj ham aapko batayenge ki aap kaise kisi bhi song per ya kisi bhi MP3 gane per apna khud ka photo kaise add kar sakte hai. apne kai baar dekha hoga ki jyadatar gaano per kisi na kisi ki image lagi rahti hai to ishi tarah aap bhi apne photo mein apne song main apni photo kaise add karen, kisi bhi song mein apni photo add kar payenge hamare dwara bataigayi ish trick mein. To is trick ko janne ke liye article ko pura padhte rahe.
Doston aapane dekha hoga ki jab bhi ham kisi song ko kahin se download karte hain ya kisi MP3 song ko kahi se bhi apne phone mein dalwate hain to jab ham ushe play karte hain ya usko baja kar dekhte hain toh ham dekhte hain ki MP3 song par kisi ki bhi album ya photo hoti hai to ush photo ko dekhkar ham ascharyachakit hote hain aur ham bhi chahte hain ki hamare photo bhi kisi na kisi song per add ho to iske liye niche tak padhte rahe.
Sayad aapko samajh nahin aa raha hoga ki ish trick ko kaise use kiya jata hai toh iske liye ham aapko niche ek screenshot image dikha rahe hain jis ki sahayata se aap samajh sakte hain ki aapka photo kisi bhi MP3song mein ish tarah dikhai dega. image mein bilkul hi clearly se bataya gaya hai ki aap kish tarah apne photo ko kisi bhi MP3 song mein ya kisi bhi gaane mein dekh sakte hain aap, jab bhi ish MP3 song ko apne doston ke sath ya kisi Aur device ya phone mein share karenge to unke pass bhi aapke photo ke sath hi yah gaana Jaega aur agar aapka dost bhi ishe sunega to aap ka photo bhi sath mein dekhega ek album ke roop mein.
Kisi bhi song par apna photo kaise add Karen
Toh kisi bhi song per ya kisi bhi MP3 gaane per apni photo ko lagane ke liye sabse pahle aapko ek application ki jarurat padegi yani ki ek Android app ki jarurat padegi jisko ham niche de rahe hain aap niche click kar kar ush application ko download karke install Kar Lijiye aur fir usko open kijiye.
Click here for download
Ab aap kisi bhi ek aise song ya MP3 gaane ko select kijiye jismein aap apne photo ko lagana chahte hai. niche aapko ek screenshot diya gaya jiski help se aap yah jaan sakte hai ki kaise aapko gaane ko edit karna hai.
Kisi bhi gaane ko select karne ke bad ab aapko ek errow ka nishan dikh raha hoga ush per click karne se aapko bahut sare option najar aaenge jin mein se aapko Edit tag per click karna hai aur edit tag per jaise hi aap click karenge to aapke samne ek naya interface khulkar samne aaega jo ki niche screenshot mein dikhaya gaya hai.
Ish interface main aapko sabse pahle apne song per apne photo ko hi add karne ka option aata hai. toh aap jaise add photo per click Karenge to ye aapke phone ki gallery mein open ho jaega aur aap kisi bhi photo ko yanha se select kar lena sakte hai aur fir kaun main diye right button per click karke aap ishe save kar denge to aap ke song per aapka photo najar aane lagega.
Ab jab kabhi bhi aap ish music ko kisi bhi music player per play Karenge ya Apne kisi friend ke sath ishe share karenge our other phone mein bhi isko play karenge to song main aapka photo jarur dikhai dega. aur ishse log aapko janne lagenge aur ye aapke liye bahut hi sukhd hoga ki aapka photo ush gaane per sabhi ke pash ja raha hai aur aap ise dekh kar bahut hi khush honge.
Toh doston ye thi vah trick jo ki bahut hi acchi trick hai. Hamen ummid hai ki aapko ish artical mein di gai jankari aapko bahut hi pasand aai hogi. toh agar aap ishe purn roop se samajh gaye hai to achhi baat hai. anyatha aap u🖕par video bhi dekh sakte hai. jismein YouTube per aapko ek video dikhegi. jismein aapko puri tarah samjhaye gaya hai ki kaise aap kisi bhi MP3 song per apni photo ko add kar sakte hai. aur logon ko dikha sakte hai. toh agar aapko article achcha laga to niche share ke button par click karke apne doston ke sath share karen jisse unhen bhi uski jankari ho vah bhi apne photo ko kishi bhi song per laga sakte hai.
Really this method is pure working
ReplyDeleteThanks a lot Rajon for sharing with us the informative article. kus din pele meh same ek app download kar hare this website ALL APK World ko, it also similer app and i successfully put my photo to using this app.
ReplyDeleteThank you so much for giving your opinion about this article!
Delete