Phone se Smoke wali video Kaise banaen
Hello doston agar aap bhi apni short video banate hain ya fir aap kisi social media per apni short video banakar publish karte hain aur logon ko apni taraf aakarshit larte hai. toh aapke man mein yah Khyal jarur aaya hoga ki aap smoke wali video kaise banaya. aapane jyadatar dekha hoga jo bahut sare creator hote hain ya famous log hote hain vah apni short video mein ya apni action video mein smoke laga dete hai. is smoke effect se unki video bahut hi high quality ke ho jaati hai aur dekhne mein bahut acchi lagti hai. toh aaj ke ish lekh mein ham bataenge ki aap kaise apni video par smoke laga sakte ya fir dhuwe wali video aap apne phone se hi banaa sakte hain.
Smoke wali video banane ke liye aapko kuchh step follow karni hogi jin se aap smoke wali video acchi tarike se edit kar kar banaa sakte hain aur use kisi bhi short video app per ya kisi bhi acche se platform per aap publish kar sakte hain jahan per bhi aap publish karna chahte hain aur use per bahut acche khase views, like par sakte hain.
To doston jaisa ki aap jante hain ki smoke videos mein Darshal ye hota hai ki koi bhi Banda jab kisi short video mein kisi action ke sath ya style ke sath dikhta hai aur uske aage dua ya fir smoke udta hua dikhai deta hai jisse logon ko vo video bahut hi pasand Aa jaate hai aur ushe Bar-Bar user dekhte hai. toh Is tarah ki video aap bhi bana sakte hain apne Android phone Se. toh ish tarah ki video banane ke liye sabse pahle to aapke phone mein kinemaster app hona chahiye. Agar aapke phone mein kinemaster app nhi hai to aap niche click karke Download kar sakte hai.👇👇👇
Kinemaster pro Download Apk
Ab aapko YouTube se ek smoke greenscreen effect video ko download kar lena hai. Ushke baad apni video ko shoot kar le jish mein aap smoke lagana chahte hai.
Ab kinemaster app ko open kar le aur ush video ko select kar le jish mein smoke lagana hai. Uske baad layers par click karke Media wale option par click karna hai. aur ush video ko select karna hai jo aapne YouTube se download ki thi.
Img
Ab aapko ush layer wali video ko apni screen ke size mein zoom kar dena hai. aur ab chroma key ke option par click karke ishe enable kar dena hai.
Img
Chroma key ko enable karte hi aapni video se green part remove ho jayega aur smoke dikhne lagega. Ab aapko ish video ko save ya export kar lena hai.
Img
Toh ish tarah se aap apni kishi bhi video par apne android phone se smoke wali video bana sakte hai aur edit kar sakte. agar ye tarika aapko best laga ho to ishe apne dosto ke sath bhi share karen. aapko ye information ya trick kitni achhi lagi hai hamen comment box mein bata sakte hai. agar aapko hamse kuchh aur janna hai to connect us mein jakar hamse sampark karen.