Welcome To HALZUTRIK

Local aur original LED bulb ki pahchan kaise karen

Local aur original LED bulb ki pahchan kaise karen

Local aur original LED bulb ki pahchan kaise karen
Local aur original LED bulb ki pahchan kaise karen


Hello doston, HALZUTRIK mein aapka swagat hai aaj ke artical mein Ham aapko bataenge ki aap kis tarike se LED bulb ki pahchan kar sakte hain original tatha local LED bulb ko kaise pahchane Iske bare mein aaj ke artical mein Ham aapko bataenge jisse aap aasani se local vah original LED bulb ki pahchan kar sakte hain.

Doston Kai bar kya hota hai ki ham Kisi bhi dukaan se ya FIR Chalti firti dukaan se LED bulb khareed Lete Hain aur bad Mein Hamen Pata Chalta Hai Ki Hai Bhala to local hai Kyunki vah Kuchh hi Samay Tak Chal Pata Hai Uske bad kharab ho jata hai to aaj ke is artical Mein Ham aapko bataenge ki aap kis tarike se local bulb ki pahchan kar sakte hain.

LED bulb ke sahi pahchan se aap Sahi vah original LED bulb ki pahchan kar sakte hain isase aap Dhokha Nahin kha sakte aap Dhokha khane se Bach sakte hain to Jab Bhi aap Kisi LED bulb ko khareed de to aap uski pahchan tabhi kar sakte hain Jab Aap Hamare artical ko pura padh Lenge. Kyunki artical ko padhakar aap Jab Bhi LED bulb kharidenge to aapko yah Pata Rahega ki kaun sa bulb local hai aur kaun sa LED bulb original hai jisse aap ek acche aur Uchch quality ke LED bulb ko kharidne mein Saksham Rahenge.

Local original LED bulb mein kya pahchan hoti hai.

Local aur original LED bulb mein aapko Kahin pahchan dekhne Ko Mil sakti hai jisse aap aasani se Pata Laga sakte hain ki kaun sa bulb nakali hai aur kaun sa asali hai.

Niche ham Kuchh mahatvpurn binduon ko Dhyan Mein Najar rakhte Hue aapko bataenge ki aap kis tarike se local Hai original LED bulb ki pahchan kar sakte hain Kuchh point se niche Diye gaye hain aap unko Dhyan se padhiye aur aap andaza Laga sakte hain ki LED bulb asali aur nakali mein kya pahchan hoti hai.

Local aur original LED bulb ki pahchan kaise karen.

• Jab Bhi aap kisi dukandar se ya FIR Kisi gadi wale se koi LED bulb kharidte Hain To aap sabse pahle uska vajan check kar sakte hain. Aap apne Hath Mein Lekar dekhiae Agar LED bulb mein bahut hi kam vajan hai to aap samajh sakte hain ki yah bulb local hai.

• Ab dusri Baat aati hai ki Jab aap LED bulb ko kharide to aap use Ek Bar jalva kar Dekhen Agar bulb ki Roshani theek hi ya fir kam Dikhai padati hai to aap samajh sakte hain ki yah balap local hai. Original bulb ki Roshani Hamesha Tej aur Aankhon per bahut jyada padati hai.

• Jab Bhi aap LED bulb khariden to aap ek bar use Khol Kar Dekh sakte hain iske liye aapko LED bulb ke upar Di Gai Safed Rang ki Katori ko utaar dena hai aur uski bulb wali plate ko check karna hai. Agar LED bulb ki jo plate Hai vah Gol Aakruti ki hai Jis Tarah Ki niche image Mein Dikhai gai hai to aap samajh sakte hain ki yah local bulb ki plate hai. Kyunki jyadatar original LED bulb ki plate Chakor Aakar ki hoti hai aur usmein 10 se 12 bulb hi hote hain.
DOB plate


• Dusri pahchan balki yah bhi hoti hai ki Jab aap use Khol kar Dekhen to uske andar Ek circuit type ki plate bhi honi chahie Yahi iski mahatvpurn pahchan hoti hai. Kyunki Jo local bulb ki plate hoti hai ya local LED bulb Hota Hai usmein circuit nahin diya Hota usmein direct Ek Gol DOB plate Lagi hoti hai jo ki jald hi kharab ho Jaati Hai. Original bulb Mein Hamesha Ek circuit plate Di Hui hoti hai.

• Original LED bulb ke andar Hamesha silver plate Lagi Hui Hoti Hai yani ki LED bulb ke andar ki side mein silver ki layer Lagi hoti hai jo ki usko power heating se bachati hai aur local bulb Mein yah layer Nahin Hoti local bulb Mein Keval plastic ka banaa frame Hota Hai jo ki bahut Halki hoti hai.

To doston is tarike se aap local vah original LED bulb ki pahchan kar sakte hain Ab Jo Jo point Humne Bataye hain aap LED bulb kharidte Samay ine points Ka Dhyan Rakh sakte hain aur ek Sahi LED bulb ka Chayan Karke use khareed sakte hain. Ab Jab kabhi bhi LED bulb kharide to usmein yah Sabhi khubiyan Dekh Kar Hi kharide isase aap ek original LED bulb ko khareed Payenge anyatha aap thagi ke Shikar ho sakte hain aapko log Dhokha dekar Ja sakte hain. Ab aapko yah Bata Den Ki local LED bulb aapko Kahan Se Mil sakte hain Jab Bhi aap Kisi Feri wale ya gadi wale se koi bhi LED bulb kharidte Hain To aapko unper local bulb dekhne Ko Mil sakte hain. Gadi wale ya Feri wale aapko bahut hi kam Dam Mein LED bulb Dete Hain Jinka price bahut hi low Hota Hai aur Yahi wala local Hote Hain.

Hamen ummid hai ki Aap Hamare is artical ko padhakar yah Jaan Gaye hoge ki kaun se bulb local hote hain aur kaun se original LED bulb Hote Hain. Agar aapko Hamare is Lekh se koi bhi sahayata Milte Hain To Hamen behad Khushi Hogi. Agar aapko is artical ko padhakar koi acchi knowledge hui hai to aap Hamen comment kar kar bata sakte hain ki aapko Hamare artical Kitna Achcha Laga Hai. Ham Bhavishya mein Aisi hi Jankari aapko dete rahenge.
RAJAN

My name is RAJAN and this website is created by me. All articles posted on it are published by us. Our aim is to give correct information to the visitors according to their search through articles and take them to the post. facebook youtube instagram facebook pinterest

Post a Comment

Previous Post Next Post

Follow on Google News