YouTube ka data saver kaise on karen
Hello friends, HALZUTRIK mein aapka swagat hai. Aaj ke ish article mein humm aapko batayenge ki aap kish trah se apne youtube ka data saver on kar sakte hai. Aapko bata de ki youtube mein data saver ka option user ke best experience ke liye diya gya hai. Aapko detail mein batayenge ki akhir youtube mein data saver kish liye diya gya hai
Data saver ka option youtube mein ishliye diya gya hai ki user apne internet data ko save kar sakte hai. Aapne dekha hoga ki jab bhi aap youtube ko open karte hai ya use karte time aapkephone ka net jaldi khatam ho jata hai. Kuch der tak youtube chalane se ya char-pach video dekhne ke badh aapke phone ka internet khatam ho jata ha. To ish problem se bahut se users bahut preshan ho jate hai. Kinyoki har user apne phone mein mahnge wale recharge nahi karva pate hai. Ishliye youtube users ish problem se bahut preshan hai.
Ab ish problem ko kaise fix karen ish bare mein ham aapko details mein bataenge.
To dosto youtube mein data saver ko kaise enable karen iskeliye aapko niche di gyi sabhi steps ko sahi se follow karni hai.
Step1. Sabse pahle aapko apne phone ya device mein youtube app ko open kar lena hai.
Step2. Ab aapko apne id wale side option par click kar lena hai.
Step3. Ab setting wale options par click karna hai.
Step4. Jaise hi aap setting wale option par click karte hai to ab ek naya page open haoga. Ab aapko data saving ka ek option dikhai dekha dega.
Step5. Ab aapko data saving par click karke data saving mode ko enable kar lena hai.
Itna karte hi aapke youtube mein data saver mode enable ho jayega. Isshe aapke youtube app mein extra data ki khapat nahi hogi. Ab aapka internet bahut der tak chalega. Dosto data saver mode ko on krne se aapke youtube application par auto play video nahi hogi, video playing ki quality kam ho jayegi. Video dekhne ki quality low ho jayegi.
To dosto ish trah se aap apne youtbe aap mein data saver mode ko enable kar sakte hai. Agar aapko ish article se related koi bhi preshani ho rahi hai to aap comment karke hame bata sakte hai. Ham aapki comments ka jaldi jawab dene ki koshis karenge.