How to count words in the phone
Hello doston! Agar aap jyadater phone se koi work type karke complete karte hai, ya aapko koi study work phone mein type karke poora karna hota hai our ushko limited words ko hi likhna ya type karna hai. Toh phone se kuchh bhi likhne ya type karne ke liye notes app ka use hota hai, jo har android phone mein default de hoti hai. Lekin inh notes app ya phone mein word ki counting karne ka features nahi diya hota hai. Toh aaj ke ish lekh mein ham aapki ishi problem ko solve karne ka tarika batayege.
Words ke count karne ki jarurat tab jyada padti hai jab aap kishi questions ka Answer de rahe hote hai our answer 200 words mein dena hai, ya fir kuchh our likhna hai jisme limited words hi type karne hai. Toh ish condition mein aapko phone se word count oarne ki problem hogi. Kyunki phone mein word caunt karne ka koi bhi features moujud nahi hai. toh ham aapko ek aishi trick ke baare mein batayege jisse aap apne phone mein kishi bhi text, paragraph ya notes ke words ki counting kar Payenge. toh chaliye ish trick ke baare mein jaante hai.
☆ MX Takatak par famous Kaise banen
Phone mein word ki counting jarne ke liye sabse pahle aapko apne phone mein ek apk file ki jarurat padegi, jiska name hai word counter, jishe apne phone mein install kar lena hai.
Word counter app ko download karne ke liye sabse pahle aapko apne browser mein google par Apkfeel likh kar search karna hai. Ab apkfeel website google par dikh jayegi, aapko click karke apkfeel website ko open kar lena hai.
Ab apkfeel website ke search box mein word counter likh kar search kar lena hai, our download kar lena hai.
Ward counter ek bahut hi useful application hai, jo word ko coun karne ke liye kaam aata hai. yah app bahut hi kam mb ka hai, jo phone ka kam space gherta hai. jisse phone mein koi hanging problem nahi hoti, our ishe aasani se download kiya ja sakta. ishka use kishi bhi paragraph ya large text, lekh mein words ki counting karne mein hota hai. mana ki aapko phone mein ek essay type kar ke likhna hai, our wo bhi keval 1000 word mein, toh aap phone se essay likhne ke liye notes ya ms word ka use karenge. aap inh tools se essay to likh lenge lekin word ko count nahi kar sakoge ki kitne word ka likh chuke hai, our kitne word baaki hai. Toh iske liye aapko hamare dwara bataye gye ish word counter app ka use kar sakte hai.
Word counter app ko download karke apne phone mein install kar lena hai. our open kar lena hai.
Ab aap ishme koi bhi line type karke dekh sakte hai, ya fir kishi paragraph ko copy karke paste karke bhi dalkar dekh sakte hai. Isshe aapko ye bhi pata chal jayega ki ish paragraph mein kite words, paragraph, characters, lines hai.
toh ish app ki help se aap apne phone se hi kisi bhi lekh mein kitne words hai iska pata laga sakte hai.
Bilkul sahi jankari di hai sir
ReplyDelete