What is Device Maintenance setting in Samsung Phone? Use of device maintenance
Hello friends, agar aap Samsung ke smartphone user hai toh aapne apne Samsung ke phone ki setting mein " device maintenance" ki setting ko jarur dekha hoga. Aaj ham aapko ishi ke baare mein details mein jankari denge, our batayege ki device maintenance kya hai? Our ishka use kaise kiya jata hai?
________________________________________
Also read:- What is KYC, full form of KYC
Also read:- फोन में windows इन्स्टॉल कैसे करें
________________________________________
Toh sabse pahle to ye jan lete hai ki akhir device maintenance kya hai.
What is device maintenance?
Dosto, device maintenance Samsung smartphone ki ek settings hai, ye lagbhag Samsung har android phone mein dekhne ko milti hai. Aapko apne Samsung ke phone ki setting ko open karna, open karke jab aap thoda niche scroll karenge to aapko device maintenance ki settings mil jayegi. Ab aap ish par click karke ishe open Karen.
Click karte hi aapke samne ek new page open hoga jismein kuch aisa Interface najar aayega jaisa niche image mein dikhaya gya hai.
What is the use of Device Maintenance
Friends, ish settings ka use Samsung phones ki storage, Memory and device ko clean karne ke liye kiya jata hai. Ye settings apke Samsung phone ko safe rakhne mein kaam aati hai. ish setting ke istemal se aap apne phone ko scan kar sakte hai jisse agar koi virus malware aapke phone mein hai toh scanner se ushe phone se delete kar diya jayega.
Ab ham aapko ek-ek karke ishki puri jankari aapko dete hai ki kaise aap device maintenance ki settings se apne phone ko secure rakh sakte hai.
Jab aap device maintenance ki settings ko open karte hai toh aapke samne bahut se option show, jaise:- Battery,Storage,Memory etc. Jinhe niche dikhaya gya hai.
1. Battery
Battery par jaise hi aap click Karenge toh ye scan hone lagega our aapne phone mein agar koi app background mein battery kha raha hai toh ye ushe battery khane se rok dega, sath hi aapke phone ki battery ki life ko bhi badhayegi.
2. Storage
Storage par click karke aap apne phone ki storage ko clean kar sakte hai. Agar aapnke phone ki storage ya space full ho chuka hai to aap ish setting ka use karen. ish setting par aapko storage par click karke storage Booster click kar lena hai.
Click karte hi aapko boost karne ka option mil jayega jisse aap boost karke apne phone ke space ko kam kar sakte hai. isshe aapke phone sabhi duplicate images,videos, and files delete ho jayegi.
3. Memory
Memory par click karke aap apne phone ki Memory ko clean and cool kar sakte hai. iske liye aapko sabse pahle Memory par click karna hai.
Ab aapko percent dikha dega our niche ki or optimize now ka icon dikhega. bash aapko ish par click kar dena hai, isshe aapke phone ki Memory clean and cool ho jayegi. Sabhi apps ke forces stop ho jayenge jisse aapke phone ko rahat milegi.
4. Device security
Ye setting bahut usefull hoti hai, ishka use phone ko scan karne ke liye kiya jata hai. Scan karne ke liye sabse pahle aapko device security par click karna hai.
Ab aapko secure likha dikhai dega jisse pata chal jata hai ki aapka device secure hai. Our niche Scan Phone ka button dikhai deta hai. Aaish par click karke phone ko scan kiya jata hai. Jab phone scan ho jayega to aapke phone se sabhi virus malwares delete ho jayege. And aapka phone bilkul safe and secure ho jayega.
So friends, ish trah se aap apne phone ko device maintenance settings ki madad se secure rakh sakte hai.
We hope, aap hamare dwara batai gyi jaankari device maintenance kya hai and ishka use kya achchi trah samajh gye honge, agar aapka ish article se related koi question hai toh aap hamen comment karke puch sakte hai. Ham aapke har questions ka Answer jarur denge.