Welcome To HALZUTRIK

how to set jio tunes in your name_new trick

 how to set jio tunes in your name_new trick

अपने नाम की jio tunes कैसे लगायें_न्यू ट्रिक
how to set jio tunes in your name_new trick


Doston agar aap Ek jio ka sim rakhte hain aur apne jio ke simkmesimapne caller tune ko badalna chahte hai, ya fir apne name ki caller tune ko apne jio sim ke number par add karna chahte hai toh iske liye ham aapko ek aisi tarika bataenge jisse aap apne jio sim mein apne name ki caller tune laga sakte hai, jisse aap per call karne walon ko aap ke name ki caller tune sunai degi jisse vah bhi ascharyachakit ho jaenge.



Doston callertune wo hoti hai jo aap ke number per call Karne wale pratyek aadami ko sunai deti hai, jab tak ki aap phone receive nai kar le. toh ismein aap apni manpasand ki Koi Bhi tune, Jio tune mein jakar laga sakte hai, lekin aapko bata de ki epne name ki ringtone jio sim mein lagane ke liye aapko apne jio care mein ek message bhej kar apna name likhna hota hai lekin yah tarika itna achcha work nahin karta jitna ki aap chahte hain. ya fir aapke name ki tune se yah laga nahin pata aur search bhi nahin kar pata. lekin ham jo aapko Tarika bataenge usmein aapko kisi bhi prakar ka koi SMS bhejne ki jarurat nahin padegi.

●> Redmi note3 camera settings
●> phone ka back home button kharab hone par Kya karen

Dusri Baat doston agar aap Jio ka sim apne Jio phone mein chalate hain to shayad yah Tarika aapke liye kargar nahin ho sakta. Kyunki hamare dwara bataen jaane wala tarika keval Android, smartphone per hi work karta hai. toh Android phone mein agar aap jio ka sim chalate hain to aap acche tarike se apne name ki callertune ko apne jio sim mein add kar payenge aur logon ko ashcharya kar denge. toh iske liye aapko keval hamare dwara bataye gaye tarike ko follow karna hai aur bush apne name ki caller tune ko apne jio sim mein add kar sakte hain.

Dosto agar aap apne Android phone mein jio ka sim chala rahe hain to aap ke phone mein my jio app jarur hoga. agar aapke phone mein my jio app nahin hai to pahle aap myjio app ko apne phone mein Install kar le. Kyunki is trick mein aapko ho my jio app ki jarurat Jarur padegi.

1. Sabse pahle aapko apne my jio app mein login hokar use open kar lena hai

2. Ab niche jio tune ke section per click kar de.


3. Click kar dene per aapko vibhinn prakar ke jiotunes dikhai degi aur aapko jio tunes bhi show hogi jo aapke number per abhi uplabdh hai ya add hai. toh ab aapko upar diye search icon per click karna hai


4. Ab aapko search box mein apna name likh kar uske piche name tunes likhkar search karen.
⚠️ Dhyan rahe aapko apna name likhane ke piche name tune ko ish prakar likhna hai ki pahla Akshar capital ho. Ya fir aap apna name likhane ke bad name tunes ko yahan se copy kar kar bhi likh sakte hai. Kyunki agar aapane search karte waqt ek bhi word ko galat likh diya to yah Search nahin kar payega
Copy = Name Tune

5. Ab aap ke name ki jitni bhi tunes uplabdh hogi vah show ho jayegi, aap unh per click karke play kar sakte aur set my caller tune per click Karke ishe apni caller tune bana sakte hain.


To doston bush ek chhoti si trick se aap kitne bade kaam ko kar sakte hain. yani ki aap ish tarah se apne jio sim mein ish name tune ko add kar sakte hain. matlab ki apne name Ki tune ko apne jio sim per lagakar apne friends, family members aur apnon ko Chauka sakte hain ish tarike se.

Halzutrik per aapko har tarah ki tricks ekadam acche tarike se parinaam swaroop acchi hi milegi, aapko kisi bhi prakar ki jhuthi khabar ya jhuthi jankari, jhutha Ttarika ham pesh nahin karte. ham keval shuddh aur satik jankari dene ke liye hamesha aage rahte hain. Agar aapko hamare dwara di gai jankari ya tarike achha lagte hain to aap hamari aur bhi post dekh sakte hain aur hamen comment mein bata sakte hain ki aapko yah tarika ya trick kitni acchi lagi hai.
RAJAN

My name is RAJAN and this website is created by me. All articles posted on it are published by us. Our aim is to give correct information to the visitors according to their search through articles and take them to the post. facebook youtube instagram facebook pinterest

2 Comments

Previous Post Next Post

Follow on Google News